naye kapade badal kar jaon kahan aur baal banaon kis ke liye
wo shaKhs to shahar he chod gayaa ab Khaak udaon kis ke liye
jis dhoop ki dil ko thandak thi wo dhoop usi ke saath ga'eein
jalti bujhti galiyon main ab Khaak udaon kis ke liye
wo shahar main tha to us ke liye auron se milna padta tha
ab aise waise logon ke main naaz uthaoon kis ke liye
ab shahar main is ka badal he nahi koi waisa jaan-e-ghazal he nahi
aiwan-e-ghazal main lafzon ke guldaan sajaon kis ke liye
mudat se koi aaya na gaya sun saan pari hai ghar ki fazaain
Khali kamron main "Nasir" ab shammaa jalaoon kis ke liye
No comments:
Post a Comment